Khadrabad Ki Kalka Mata Itihas Bhog Prasad aur Unke Veero Ka Rahasya


Khadrabad ki Kalka Jai Maa Bhagwati, Jai Maa Nyavali Ki Kalka! Aasha karta hu aap sabhi achhe aur swasth honge. Maa Bhagwati Manya Wali Kalka aap sabhi ki jayaz manokamnaayein poori karein aur apni daya drishti banaye rakhein.

Aaj hum baat karenge Khadrabad ki Kalka ke vishay me, jo ki pure desh me Khadrabad wali Kalka Mata ke naam se prasiddh hain. Agar aap unke itihas, bhog prasad, unke chalne wali shaktiyo aur unke 5 veero ke baare me janna chahte hain, to is lekh ko poora zaroor padhein.


Yaha Bhi Jaroor Padhe:-

Khadrabad Ki Kalka Mata Ka Itihas Aur Dhaka Bengal Ka Jadu

Khadrabad ki Kalka Mata koi alag shakti nahi hain, balki wo स्वयं Kolkata ki Kali (कलकत्ते की काली) ka hi ek swaroop hain.

Mata ka itihas Dhaka Bengal (ढाके बंगाले) se juda hua hai. Manyata hai ki Kolkata ki Kali ne Dhaka Bengal jaakar Hees Bridge (हीस ब्रिज) ke neeche jaadu seekha tha. Unke saath ek aur devi bhi thi jinhone wahan jaadu seekha tha (unka naam nethiya mata nahi hai, unke baare me jankari jald hi agli post me di jayegi). Dhaka Bengal se jaadu seekhne ke baad Mata Khadrabad khede tak aayi aur wahin sthapit ho gayi.


Kalka Mata Ke 3 Guru Kaun Hain?

Khadrabad wali Kalka Mata ke teen mukhy guru hain, jinka zikr bhagtai me aata hai:

  1. Prem Nand Guru (प्रेम नंद): Ye mata ke pehle guru hain.
  2. Bhola Bhagat (भोला भगत): Ye unke doosre guru hain jo unke saath chalte hain.
  3. Khagi Guru / Khakiya Guru (खागी गुरु): Ye mata ke sabse mukhy guru hain, jinka jaikara mata aaj bhi lagati hain.

Khagi Guru Ko ‘Totla Bhagat’ Kyun Kaha Jata Hai?

Katha: Ek baar jab Maa Kalka behad krodhit thi, to unka krodh shaant karne aur unhe rokne ke liye Khagi Guru ne apni jeev (tongue) kaat kar mata ke charno me bhent swaroop chadha di thi. Jeev katne ke kaaran unhe Totla Bhagat bhi kaha jata hai.


Mata Ke 5 Veer Aur Saath Chalne Wali Shaktiyan

Khadrabad Kalka Mata ke saath 5 Veer chalte hain. Bhagtai ke niyamo ke anusar sabhi veero ke naam gupt (secret) rakhe jaate hain taaki shaktiyo ka bhed na khule. Fir bhi, mukhy roop se chalne wale kuch veero aur devtaon ke naam is prakar hain:

  • Tota Veer (टोटा बीर)
  • Mamda Veer (ममदा बीर)
  • Kale Dev (काले देव)

Saath Chalne Wali Anya Shaktiyan:

Mata ke saath poorv ke jaadu ke antargat chalne wali kai shaktiyan hain jaise— Kalighat ki Kali, Marghat ki Kalka, Bengal ki Kali, Jwala Mata, Kamakhya Devi, Basanti Devi, Phoola Devi aur unke do bete (Sundara aur Ramjiya), Gora, Chandu Fauji, Baba Tulsi Akh (Kadiya Jeen Jwala Panth Dev), Dada Dev Guwani, aur Shobha Thokra.


Khadrabad Ki Kalka Mata Ka Bhog Prasad

Alag-alag bhakto dwara mata ko unke niyamon ke anusar bhog chadhaya jata hai. Khadrabad ki Kalka kyunki Kolkata ki Kali ka swaroop hain, isliye unhe tamsik aur satvik dono roop me pooja jata hai:

  • Neebu Ki Bali: Mata ko neebu ki bali behad priya hai.
  • Kadhai Ka Bhog: Halwe-poori ki kadhai ka bhog lagaya jata hai.
  • Tamsik Bhog: Kai sthano par unhe dhaar aur suar ke bachhe ki bali ka bhog bhi diya jata hai (ye bhakt ki apni seva par nirbhar karta hai).

Kya Aapke Ghar Me Koi Samasya Hai?

Agar aapke ghar me kisi bhi prakar ki samasya hai jaise:

  • Pitra Dosh (पितृ दोष)
  • Bhoot Pret ya Jin Masan (भूत प्रेत / जिन्न मसान)
  • Dakni Shakni ya Tantra Badha

Jai Maa Kali! Jai Khadrabad Wali Kalka!
Is jankari ko zyada se zyada share karein aur comment me ‘Jai Maa Kalka’ zaroor likhein.


Youtube

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Scroll to Top